STORY IN URDU : HAZRAT ADAM(Alaihay Salam) With Video

 



HAJRAT ADAM ALAHSALAM

➖ ➖ ➖ ➖ ➖ ➖ ➖
Bismillah hir rahmaanir raheem

Jab kuch bhi nahi tha tab sirf aur sirf Allah tha.phir Allah ne pani ko banaya …pani ke oper apna arsh banaya jahan Allah ki kursi hai…jahan Allah Ta’alah maujood hain.

Uske baad Allah be qalam (pen) ko banaya aur kaha likho…qalam ne poocha kya likhun…Allah Ta’alah ne kaha qayamat tak jo kuch bhi hone vala hai sab kuch likh do to Allah ke hukum se qalam ne har cheez likh di..phir Allah ne LOHE MEHFOOZ banaya jo Allah ka ak tarah ka office hai jahan har cheez qalam se likhi hui maujood hai. Qayamat tak kya hoga kitne log kab paida honge kya karenge…duniya ka ak ak haal har cheez likhi hui hai Allah ke ilm main hai…
Uske baad Allah ne 50 000 saal baad aasmaan aur zameen ko banaya .

Uske baad farishtoon ko banaya jinoon ko banaya.

Uske baad 6 dino main pori duniya banaye… ye 6 din hamare dinoon ki tarah nahi the ye Allah ke din the

1..Saturday ko mitti banaye

2…Sunday ko pahad

3..Monday ko trees

4…Tuesday ko takleef .. bimariyaan …musibate.

5…..Wednesday ko noor yani light.

6…Thursday ko janveroon ko zameen main phailaya.

7…Friday. …ko asir se maghrib ke beech Adam alehsalam ko paida kiya .

BUKHARI.


Allah ne farishtoon ko noor se..jinno ko aag se aur insan ko mitti se paida kiya.

Adam alehsalam ko banane se 2000 saal pehle Duniya main Allah ta’alah jinno ko bhej chuke the magar unhone vahan bahot fasad kiya …..ak dosre ka khoon bahaya to Allah Ta’alah ne Farishtoon ko bheja jinhone jinoon ko zameen se door kar diya to jinn islands par door sunsaan ilaqoon par chale gaye.jinno main hi ak Azazil bhi tha jo Allah Ta’alah ka bahot ibadat guzaar banda tha..to farishte use apne saath le aaye jo baad main apne takabbur aur nafarmani ki vajah se Iblees kahlaya yani sakht mayoos kyon ki vo hamesha hamesha ke liye Allah ki rahmat se mayoos hai.

Ab Allah ne insan ko banane ke bare main soocha …to farishtoon ko kaha ki main zameen main Khalifa banane vala hoon khalifa yani vo jinki ak generation ke baad generation aayen.

Allah ne jinno aur insan ko sirf apni apni ibadat ke liye paida kiya tha.

Ki vo duniya main jakar Allah ka test deen ibadat kareen.

Farishte jinno ka haal dekh chuke the unhone Allah se kaha ki aap kyon banana chahte hain insan ko jab ki hum to maujood hai jo din raat aapki hamd aur tasbeeh karte hain …ye insan bhi zameen main jakar fasad karenge ak dosre ka khoon bahayenge.
Allah Ta’alah ne javab diya jo main janta hoon vo tum nahi jante. Yani Allah Taa’la unhe kyon bana rahe hain ye Allah ko pata tha.

Allah Ta’alah ne zameen se mitti mangvaye to pori duniya se farishte thodi thodi mitti laye …thodi kali thodi laal thodi brown…isliye insan ki shakal har tarah ki hain…

Sukhi mitti ko TURAAB kaha jata hai..use bhigoya gaya to vo TEEN ban gaye …phir usme se lees uthna shuru ho gaya aesi mitti ko SALSAAL kaha jata hai…

Ab Allah Taa’la ne apne haathoon se Adam alehsalam ka statue banaya aur 40 dino ke liye chodh diya kisi rivayat main 40 saal aata hai Allahu alam …..vo mitti sookhi to black ho gaye usme se badbu aane lagi aesi mitti ko MASNOON kaha jata hai……phir vo bajne vali mitti ki tarah ho gaye jisko thokne se avaaz aati hai aesi mitti ko FAKHKHAAR kaha jata hai.

Quran main jab jab insan ke creation ka zikr aata hai to Allah ta’alah kahte hain humne tumhe mitti se banaya to ye alag alag mitti ke naam aate hain ..ki aesi mitti se banaya ..dekho tum kya cheez the .

Jab Adam Alehsalam ko banaya to vo 60 feet tall the .jab unka statue banakar Allah Ta’alah ne chodh diya to iblees unke aas paas chakkar lagata unke thokar maarta aur soochta ki inhe zarur kisi khaas maqsad ke liye banaya ja raha hai. .
Kahta agar mujhe ispar mussallat kar diya gaya to yaqeenun main ise musibat main daal donga.aur agar isko mujhpar mussallat kar diya gaya to main iski nararmani karunga.

Farishtoon ne soocha ye jo bhi makhlooq Allah Ta’alah bana rahe hain ye ilm main hum se zyada nahi ho sakti na hi humse zyada izzat vali…

Allah Ta’alah to sabke diloon ka haal jante hain …
Allah Ta’alah ne hukum diya ki jaise hi main Adam Alahsalam main Ruh phoonkoon tum sab sajda karna ye sajda e tazeem tha is sajde ka hukum Allah Taa’la ne isliye diya ki sab ko pata chal jaye ki jo ye naya creation hai iska status farishtoon jinno se oper hoga ..

Allah Ta’alah ne ruh phonkne se pehle hi Adam Alahsalam ko Duniya ka pora ilm de diya har cheez ke naam sikha diye jaise ye tree hai ye mountain hai. ..ye star hai ye bird hai ..unki properties aur uses bhi sikha diye complete ilm diya .

Jaise hi unmain ruh phoonki to sare farishtoon ne sajda kiya sivaye iblees ne usne Allah ki nafarmaani ki aur sajda nahi kiya.

Jab Ruh phoonki to Ruh sar main dakhil hui to adam alehsalam ko cheenk aaye to farishtoon ne kaha ki aap kahiye Alhamdullillah yani tamam tareef aur shukar Allah hi ke liye hai..is par Allah ta’alah ne farmaya RAHMAKA RABBUK tujh par tera rab raham farmaye.ab ruh aankhoon main dakhil hui to adam alehsalam jannat ke phal dekhne lage….. charoon taraf dekhne lage .jab ruh pet main gaye to unhe bhook mehsoos hui …jab peroon main ruh gaye to unhone chalne ki koshish ki uspar Allah ta’alah ne Qur’an main farmaya insan jaldbaaz hai.

phir Allah Taa’la ne unki peeth par haath phera to qayamat tak jitne bhi insan paida hone vale hain sab ki ruheen nikal aayen Allah ne sab se kaha ki kya main tumhara rab nahi..sab ne kaha ki aap hamare rab hai sabne sirf ak Allah ki ibadat ka vada kiya ise vada e alast kaha jata hai. .abhi Aalam e arvah main sabki ruheen maujood hai jo qayamat tak paida honge..

Adam alehsalam ko paida kar ke unse kaha ki jakar farishtoon ko salam karo unhone farishtoon se Assalamualaikum yani salamati ho aap sab par kaha iske badle main farishtoon ne kaha va alaikum assalam va rahmatullahi… yani aap par bhi salamati ho aur Allah ki rahmat ho ..is par Allah ta’alah ne Adam alehsalam se kaha ye tumhari aulaad ko ak dosre ke liye tohfa aur hadiya hai.

Ab Allah ne farishtoon ke saamne duniya ki kuch cheeze pesh ki aur unke naam pooche farishte nahi jante the unhone kaha ae Allah hamain ilm nahi hamain to sirf utna hi pata hai jitna ilm aapne hamain diya…. phir unhi cheezoon ke naam Adam Alehsalam se pooche to unhone sab ke naam bata diye .

Is par Allah Ta’alah ne farmaya kya maine nahi kaha tha ki mujhe zameen aur aasmaan ki har cheez ka ilm hai..jo tum zahir karte ho aur jo chupate ho use bhi main jaanta hoon.

Allah Ta’alah ko pata tha ki farishte Adam Alehsalam ke bare main kya sooch rahe the.

Adam alehsalam ko jannat ka libaas pehnaya gaya aur jannat main rahne ko kaha gaya…vo jannat main rahne lage.

Idher iblees….

Jab Allah ne sab ko Adam Alehsalam ko sajde ka hukum diya to iblees ne sajda nahi kiya ..

Iblees ak naik aur buzurg jinn tha usne kabhi Allah ki nafarmaani nahi ki thi bahot ibadat guzaar tha isiliye buland martaba pa kar farishtoon main shamil tha .isi baat ka use bahot gurur ho gaya tha khud ko badi cheez samjhne laga tha….aur isi gurur main andha ho kar usne Allah ke hukum ko bhi maanne se inkaar kar diya.

Allah Ta’alah ne usse poocha ae iblees tujhe kis cheez ne sajda karne se roka kahne laga main usse behtar hoon tune Adam ko mitti se paida kiya aur mujhe aag se.

Allah Ta’alah ne kaha utar ja yahan se tujhe haq nahi ki jannat main rah kar takabbur kare .

Iblees kahne laga Ae Allah mujhe qayamat tak ki mohlat de dijeye ki main zinda rahoon. Allah Ta’alah ne use mohlat de di.

Jab mohlat mil gaye to apni galti maanne ki bajaye Allah Ta’alah se kahne laga ki tune mujhe gumrah kiya yani agar Allah mujhe sajdah ka hukum nahi deta to kuch nahi hota .ulta Allah ko blame karne laga ..

Kahne laga main qasam khata hoon main Adam ki aulaad ko gumrah karunga main tere sirate mustaqeem par beth jaonga phir unke aage se peeche se right se left se aaonga unhe behkaonga aap inki aksariyat ko yani majority ko shukar guzaar nahi payenge.

Main insanoon ke gunahoon ko unke liye khoobsurat bana donga. ..sivaye tere mukhlis bandoon ke vo mere behkave main nahi aayenge.

Is par Allah Ta’alah ne usse kaha tu nikal ja yahan se Adam ki aulaad main se jo tera kaha manenge aur tere saath chalenge ..main tujhe aur unko sab ko jahannam se bhar donga ..
Jo gumrah honge teri pervi karenge yani tere qadmoon par chalenge unke vade ki jagah jahannam hogi….

Lekin mere mukhlis bandoon par tera zoor nahi chalega …..

Ab Allah ne use aur powers dete hue kaha….tu ja inko agar apni avaaz ke zariye behka sakta hai to behka le …..music…inpar apne savar pyade chadha la yani har tarah ki fouj le aa ghudsavar paidal …armies le aa apna har dav istemaal kar le ..inke maaloon… wealth aur aulaad main shirkat kar le.(tere raste main ye paisa kharch kareen…apni aulaad tere raste par lagaye) Inke bure aamal inhe bana savar kar dikha galat khwashiyaat inke ander daal de .dobara zinda na hone ke vade de.. tere sare vade fareeb honge.itne powers dekar use nikal diye ….uske ander itne powers the ki whisper kar sakta tha..use Adam Alahsalam par bahot gussa aaya ki inki vajah se ye sab hua to main ab inko bhi jannat main nahi rahne donga unhe zaleel karunga …kyonki abhi unki aulaad to thi nahi vohi the…

Udher Adam Alahsalam ko Allah Ta’alah ne behtareen jannat ka libaas pehnaya tha …jahan chahte ghoomte jo chahte khate …lekin vo khud ko akela mehsoos kar rahe the…ak din vo so rahe the to Allah Ta’alah ne unki left pasli yani rib se Huvva Alehsalam ko paida kiya jo ki bahot zyada khoobsurat thin ..jab so kar uthe to unhe dekha to poocha tum kon ho unhone kaha ki Allah ne mujhe aapke liye paida kiya hai taki aap mujhse sukoon hasil kar sake …

Vo dono khushi se jannat main rah rahe the.. Allah Ta’alah ne kaha jahan jana hai jao jo khana hai khao …….bas ak darakht /tree ka phal khane ke liye mana kiya ki agar kha loge to zalimoon main se ho jaoge………..Iblees tum aur tumhari bivi ka dushman hai kahin aesa na ho ki vo tumhe jannat se nikalva de. ..aur tum musibat main padh jao..

Iblees ko cheen nahi tha usne unke diloon main vasvasa daalna shuru kar diya ….ki us pedh ke phal kha lo jiske liye Allah ne unhe mana kiya tha kaha ki tum kha loge to hamesha hamesha ke liye jannat main rah paoge farishtoon ki tarah…

Ak din dono uske vasvase main aa gaye aur vo phal tod kar kha liya..

Jaise hi unhone phal khaya to sabse pehle unke kapad utar gaye vo dono shram se idher udher bhagne lage jannat ke pedoon ke patte khud par chipkane lage. …unhe ahsaas ho gaya tha ki humse Allah ki na- farmani hui hai..

Ab Allah Taa’la ne avaaz di ……kya maine tumhe mana nahi kiya tha kya nahi bataya tha ki shaitaan tumhara khula dushman hai….. ….

Adam alehsalam bahot zyada sharminda hue ….

Ab Allah ne unhe jannat se utar jane ka hukum diya aur kaha tum ak dosre ke dushman hoge…insan aur shaitaan. ..tumhe ak vaqt tak duniya main rahna hoga aur fayede uthane honge. ..vahin zindagi basar karoge vahi maroge aur vahin se uthaye jaoge….jab tum ko meri hidayat pahunche to jo usko manega usko qayamat ke din na koi gham hoga na koi dar hoga jahannam ka .

Lekin jo nahi manega hidayat ko jhutlayega vo sab aag main jayenge aur usi main rahenge. ..

Kaha jata hai ki Adam Alahsalam ko hind main aur Huvva Alahsalam ko jeddah main utara Allahu alam Iski alag alag rivayat milti hai.. vo bahot sharminda the apni galti par tauba ki to Allah ne unhe kuch kalmaat sikhaye jisko unhone jab padha to Allah ne unhe mauf kiya .aur arafaat ke maidaan main vo mile ye rivayat bhi sure nahi Allahu Alam ……phir duniya shuru hui …

Vo kalmaat the….

Rabbana zalamna anfusana ……………

Huvva Alehsalam ne 20 viladat main 40 banchcho ko paida kiya unhi se duniya aage badhi..har baar judva banchche paida hote the ak ladka ak ladki …jo ak saath paida hote the unki shadi nahi ho sakti thi jo alag alag paida hote the unki shadi ho sakti thi…

Adam alehsalam ne apni aulaad ko vo sab sikhaya jo Allah ne unhe sikhaya tha..
Sab Ak Allah ki ibadat karte the …khaiti karte aur janvaroon ko palte. .

Isi par Allah ne Qur’an main kaha ..

AE LOGON APNE RAB SE DARO JISNE TUMKO AK HI JAAN SE PAIDA KIYA …..

Adam alehsalam ke betoon main se do bete the kabeel aur Habeel ….

Kabeel ke saath jo beti paida hui thi vo bahot khoobsurat thi lekin habeel ke saath jo paida hui thi vo khoobsurat nahi thi ….kabeel ne Adam Alahsalam se kaha ki vo apni judva behan se shadi karega Adam Alehsalam ne mana kar diya kyonki Allah ne iski ijazat nahi di thi…kabeel apne nature main bhi bahot sakht tha ….vo khaiti karta tha udher Habeel bahot naram the vo bakriyaan sambhalte the…
Adam alehsalam ne kaha tum dono apni qurbani Allah ke saamne pesh karo jiski qurbani Allah Ta’alah qubool kar lenge vo sahi hoga.us zamane main jab Allah ke liye Qurbaani pesh ki jati to ak aag aati jiski qurbani vo aag kha leti uski qurbani qubool ho jati thi..Habeel ne sabse achcha janver qurbani ke liye diya aur kabeel ne sabse raddi fasal ka hissa … aag aaye aur habeel ki qurbani ko kha liya …is par kabeel bahot gussa hua ak din moqa dekh kar usne Habeel se kaha ki main tumhe khtam kar donga ..is par habeel ne kaha main tum par haath nahi uthaionga …is par kabeel ne habeel ke sar par bada sa paththar mara aur vo mar gaya ….ab kabeel ko samjh nahi aaya ki habeel ki laash ka kya kare kyon ki abhi tak koi mara nahi tha. ..Allah Ta’alah ne do kuvve crows ko bheja unhone bhi aese hi ladai ki aur ak ne dosre ko maar dala .phir pehle ne gaddha khoda aur use dafna diya isse kabeel ne bhi aesa hi kiya …aur jisse shadi karna chahta tha use lekar Adam Alahsalam se bahot door nikal gaya aur bas gaya…Adam alehsalam ke saath jitne log the jo jo shaitan ke behkave main aate gaye vo kabeel se milte gaye…

Adam alehsalam ko jab habeel ke qatl ke bare main pata chala to bahot takleef hui Allah Ta’alah ne shees Alehsalam ko unke baad nabi banaya jo unke hi bete the Adam Alehsalam ne shees Alehsalam ko sara ilm shikhaya Allah ne 104 sahife( written laws shariya) utare usme se 50 shees Alehsalam ko diye….

Jab Adam Alehsalam 960 years ke ho gaye to banchcho se kaha mujhe jannat ke phal khane ki khwaish ho rahi hai sare bachche idher udher phel gaye….phal dhoondne ke liye raste main unko maut ke farishte mile jo insani shakal main the unhone kaha ki vapas jao unki maut ka vaqt qareeb hai .

Adam alehsalam ne apne 40 saal Daud Alehsalam ko de diye the.varna unki umar 1000 thi.

Farishtoon ne ruh qabz ki gusal diya khushbu lagai aur dafnaya….

Unki maut ke ak saal baad hi Huvva Alehsalam ka bhi inteqaal ho gaya.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Previous Post Next Post