HAZRAT SULAIMAN
hazrat suleman (alaihissalam) parindo’n ki boli sunkar samajh jate the,ke woh kya ek doosre se kahrahe hai’n.
Ek din hazrat suleman عليه السلام apne lashkar sameet rawana huwe,us lashkar me (jinn-o ins) charind parind har qism ki makhlooq thi,(jin) aur insan aap ke sath chalrahe the,aur parinde apne paro’n se lashkar par saaya kiye sath sath udhrahe the - awwal aakhir poora lashkar bade sukoon se chhaon par rawa’n dawa’n tha- har fard apni apni jagah mahfooz-e safar tha,na koi lashkar se aage nikalne ki koshish karta aur na koi peechhe rahne ka khayal dilme laata.
Yaha tak ke woh lashkar ek aisi waadi me pahuncha,jaha chiyuntiyo’n ki rihaish yani unka ghar tha,1 chiyunti boli! Ai chyuntiyo’n apni apni bilo me ghus jaao,kahi hazrat suleman alaihissalam ka lashkar tumko be dhiyani me kuchal na dale.
Hazrat suleman عليه السلام ye sari baate us chyunti ki sunke muskurane lage,aur apne Rab عزوجل se duwa farmane lage,ai Allah pak!mujhe un nemato’n par shukr karne ki taufeeq de,jinse tune mujhe nawaza hai,mujhe doosre logo ke muqable me khusoosiyat ata huwe mamlakat-o nabuwat aur janwaro ki boliyo’n se nawaza hai-mujhe amal-e saleha ki taufeeq de,aur apne nek bando’n ke sath mera hashr farma.
Allah pak ne aap ki is duwa ko qubool farmaya.
(سبحان الله)
Ek bar hazrat suleman عليه السلام ne sare parindo’n ko hukm diya ke woh darabr me hazir ho,aur apna apna kamal jo woh rakhte hai bayan kare,
Hazrat suleman عليه السلام ka ye hukm sunkar sare parinde hazir hogaye,aur sabne apna apna kamal bayan karna shuru kiya,
HAZRAT SULEMAN KA URNAY WALA TAKHT
Hazrat Suleman A.S apnay shahi takht se 40 din ghaib rahay thay. Aur jab wapis aye tau 'Bait-ul-Muqaddas' ki ta'ameer ka hukm farmaya tha. Tau phir us ki intahai mazboot ta'ameer ki gae. Pehlay jis Prophet ne Bait-ul-Muqaddas ki ta'ameer ki thi wo Hazrat Yaqoub A.S (Hazrat Isra'ael) thay. Aur jab Suleman A.S ne Allah ki raza k lye horses ko chorra tau Allah ne us se zyada taiz raftaar cheez, means 'Hawa" ko un k tabe'e (under) kar dya. Means ksi bhi shehar ka irada karty tau aap ka aik takht tha jo wood ka bana hua tha, aur wo aisa ajeeb o azeem takht tha k Suleman jo samaan bhi chahtay, even k buildings, palaces/ mehal, tents aur dosra samaan, insan horses jin, birds, ainmals, sab kuch utha kar hawa me raftaar se urta tha. phir ksi safar ya sair ya jung ka irada hota , beshak wo kitna hi dour area ho, aap hawa ko hukm daitay. Phir hawa us takht ko zameen aur aasman k bech me lay jati. Tau phir aap (Rikha'a) narm/soft hawa ko hukm daitay tau wo aap k takht ko dheeray dheeray lay kar urti. Aur agar aap ko taizi se safar karna hota tau (A'asifa) taiz hawa ko hukm karty. phir wo aap k takht ko intahai taizi se urati. Farman-e-Ilahi hai: " Aur (Hum ne) hawa ko Suleman ka tabe'e kardya tha. Us ki subah ki manzil aik maheenay ki raah hoti aur sham ki manzil bhi maheenay bhar ki hoti. Aur un k lye Hum ne 'ta'anbay' (copper) ka chashma baha dya tha. aur jinoun me se aisay thay jo apnay Rab k hukm se un k agay kaam karty thay. Aur jo koi un me se Hamaray hukm se phiray ga, us ko Hum (jahannum ki) aag ka maza chakhaingay
HUDHUD AUR MALIKA BILQEES KA QISSAH
Hazrat Suleman k darbar me tamam birds wagera bhi hazir hotay thay. Kbahi ksi parinday ki bari hai tau kabhi ksi parinday ki. Aur hudhud ka kaam aap k yahan ye tha k aap kabhi safar per hotay aur jungle me pani ki zarurat paish aati tau aik hudhud ko pani ki talash k lye bhejtay, jis ko Allah ne ability ata’a farmai thi k wo pani ko zameen k nechay honay k bawajod jaan laita tha. Tau phir ye bird Suleman A.S ko bata daita aur log wahan khod kar pani talash kar laitay. Tau isi trah aik din Suleman A.S ne hudhud ko bulwaya tau wo mojod na tha, apni khidmat ki jagah per na mila. Tau Suleman kehnay lagay, kia hua? Mujhay hudhud kioun nazar nahi araha. Agar mojod nahi hai tau main usko sakht saza dounga. Main usay zibah kar dalounga. Abhi kuch he dair hue thi k hudhud agaya aur kehnay laga, ‘mujahy aisi cheez maloom hue hai jis ki aap ko khabar nahi. Main ne aap k pass shehar “Saba” me aurat daikhi hai, jo wahan ki sultanat per badshahat karti hai. Aur her cheez us k paas hai. Uska aik bht hi shandaar aur azeem ‘takht’ hai, jo qisam qisam k diamonds, beads sonay aur chandi se bana hua hai. Us aurat ka naam ‘Bilqees’ hai. Us ki qaum khuda ko chor kar suraj ko sajdah kartay hain. Wo shetan k behkaway ki wajah se seedhay rastay per nahi atay…” Hazrat Suleman ne kaha, “(acha) hum teray sach aur jhoot ka pata chalatay hain. Ye mera khat /letter lay ja aur issay un ki traf daal de aur phir un k pass se wapis aja. Aur daikh k wo kia jawab daitay hain..” Tau Hudhud letter le kar Malika Bilqees k pass phuncha aur letter us k samnay daal kar peechay hat kar daikhnay laga k uska reaction kia hota hai, aur wo kia jawab daiti hai.
MALIKA BILQEES KA SULEMAN A.S KO JAWAB:
Malika Bilqees ka baap baray badsha’houn me se guzra hai. Us ne ehad kia tha k ahl-e-Yaman ki ksi aurat se shadi na karounga. Tau phir us ne aik jinni (jin) se shadi ki. Jis se ye larki Bilqees paida hue. Bilqees ki maa ka naam ‘Rehana binte’ Sakan’ tha aur Bilqees ka sahi naam “Talqamah” tha. Tau Bilqees ki maa insan nahi thi, bulkay “Jin-zadi” thi. (means Hazrat Suleman ki saas Jin’oun ki qaum se thi) Hazrat Suleman ka letter panay k baad Bilqees ne apnay sab umrah-o-wuzrah ko bulaya aur khat parh kar sunaya… “Beshak, Khat Suleman ki traf se hai aur beshak Allah k naam se hi shru karta houn, bara meherban aur nihayat reham Wala hai. Tum log mujh per bara’ai na karo aur tabe’daar ho kar mere paas chalay aao..” Letter sunanay k baad aur sab se advices k baad Bilqees ne beshumar tuhfay jo k azeem khazanoun per mushtamil thay, Suleman ko bhejwaye. Laiken us ko maloom na tha k Hazrat Suleman Musalman hain aur wo is kafirah se koi hadya qabool na karaingay. Tau aap ne tuhfay laanay waly ko tuhfay wapis kar dye aur kaha k “hamaray pass Allah ka dya hua is se kahin zyada mojoud hai. Aur ab hum tumharay pass baray zabardast lashkar laiker arahay hain, jin se muqablay ki tum me bilkul himmat nahi hai…” Tau jab Allah k Prophet ki traf se ye farman-e-JalaliBilqees aur us ki qaum ko phuncha tau unko siwae aajizi-o-inkasari se jhuk Janay aur haar maan lainay k elawa koi aur chara na tha. Tau Malika Bilqees ne Hazrat Suleman ko wapis likh bheja k aap hum se behtar hain beshak aur milnay k lye Janay ka irada zahir kia. Hazrat Suleman ne jab un k anay ki khabar suni tau aap ne jin’oun ko aik hukm farmaya, jis ka detail zikr Kalam-e-Ilahi me aya hai
Post a Comment (0)