HAZRAT YAHYA A.S
Tau jab Zikarya A.S ko khush-khabri mili tau aap ki zaban band hogae (nishani k taur pe). Phir aap apni mehraab se khushi k sath niklay aur logoun ko ye khush-khabri isharoun me samjhai k ab subah o sham Us zaat pak ki tasbeeh karna aur mujh se kalaam karny ki beja koshish na karna. Aur khud subah o sham Allah ki tasbeeh me masroof rehnay lagay. Riwayat hai k , Umme Yahya (Zikarya ki bewi) aur Hazrat Maryam (Umme Esa) dono sisters theen. Is trah Yahya and Esa A.S dono khala-zad bhai thay. Aik riwayat ye bhi hai Zikarya A.S Hazrat Maryam k ‘Khalo’ thay. Wallah’alam Hazrat Maryam aik baar apni behan k paas gaen tau behan ne kaha: “kia main apko haamla/ pregnant lagti houn?” Maryam ne kaha: “Han , aur main ye bhi janti houn k main bhi haamla houn…” Tau phir behan (Umme Yaahya) ne Maryam ko galay laga lya aur kaha: “ Main daikhti houn k jo bacha mere pait me hai wo aap k pait walay bachay ko sajdah karega (means us ki ta’azeem baja layega aur tumhara bacha Afzal o ashraf hoga)” Aur yhi matlab hai us ayat ka k wo (Allah k kalmay ki tasdeeq karny walay houngay) means, Hazrat Esa ki Hazrat Yahya Tasdeeq farmaingay. Allah k fazal se Yahya dunya me tashreef lay aye. Aulad-e-Adam me koi aisa nahi jis se khata/mistake na hue ho ya (atleast) us ne khata ka irada na kia ho, siwae Hazrat Yahya A.S k. Bachpan me, Hazrat Yahya ko bachoun ny kaha, aao chal kar khail koud karain. , tau Yahya ne farmaya, hum khail koud k lye nahi paida kye gae. Allah ne Yahya ko pakeezah khalqat wala aur aeb’oun aur mistakes se paak saaf paida kiya. Aur Allah k taqwa se nawaza. Aur wo parents k sath naiki karny walay thay aur sakht aur na-farman na thay
HAZRAT YAHYA KA QATAL
Is qissay k lye 2 riwayaat famous hain: 1- pehli riwayat k mutabiq Damishq k badshah ne apni kisi 'mehram' se shadi ka irada kia, ya aesi aurat se, jis se shadi karna us k lye halal nahi tha. Tau Hazrat Yahya ne us ko mana kiya. Tau ye baat aur rukawat aurat k dil me khatakti rahi aur wo Yahya ki dushman hogae. 2- Dosri riwayat hai k Badshah ki bewi ko Hazrat Yahya se muhabbat hogae. Hazrat Yahya apnay zamanay me sab se behtar thay. sab se haseen aur khoobsurat roshan chehray walay thay. aur aurtoun ki unko biklul khuwahish na thi. Badshah ki aurat badkar thi. Magar Allah ne Hazrat Yahya ki hifazat rakhi aur wo baaz rahay aur aurat ko biklul inkar kardya, tau us aurat ne Yahya k khilaaf dil me kena paal liya. Magar dono riwayaat ka result aik hi hai. Aurat ne Badshah se Yahya ka 'Sir mubarak' aur khoon maanga. Badshah ne kaha k kuch aur sawal karo. Aurat ne kaha nahi, bus yhi chahye. Tau phir badshah ne kaha, chal wo teray lye hua. Phir apnay jallad ko Yahya k paas bheja. Aap mehraab me namaz ada kar rahy thay. aur Zikarya A.S bhi un k peechay namaz parh rahay thay. Tau khabees jallad ne aik 'Tasht' / taslay me un ko zibah kiar dya. (means khoon sara tasht me gira) Zikarya A.S ne apni namaz nahi chorri aur barabar parhtay rahay, jab k Yahya aap k mehboob betay thay. Qatil ne 'Sir mubarak' laa kar aurat k samnay rakh dya, jis se ab tak khoon beh raha tha.aur Yahya A.S ka 'Sir' tab bhi yhi bol raha tha k teray lye nikah karna durast nahi hai.
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Post a Comment (0)