HAZRAT YUNUS
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Hazrat Younas (A.H) Yourushalam Shehar Mein Paida Howay. Woh Naik insan Thay. Aur Har Waqat Loogon Ki Behtri K Liye Fikar Mand Rehte. Is Liye Allah Tala Ne in Ko Apna Rasool Chun Liya Aur inhein Nainwa Shehar K Sarkush Loogon Ki Hidayat K Liye Wahan Jane Ka Hukam Diya. Nainwa Pohanch Kar Hazrat Younas Allah Ka Paigham Loogon Tak Pohanchate Rahe.
Kashti Wale Ne Kaha K " Zaroor Koi Musafir Apne Malik Se Bhaagh Kar Aaya Hai " Jab Koi Na Boola Tu Us Ne Kaha K Sab Musafiron K Naam Ki Parchi Nikalo Aur Jis Ka Naam Nikle Us Ko Bahir Phaink Do Warna Sab Doobh Jao Gay. 3 Dafa Qurdah Andazi Mein Baar Baar Hazrat Younas (A.H) Ka Naam Nikla Tu Aap Ne Socha K Mein Bhi Allah Pak K Hukam K Bagair Nainwa Basti Choorh Kar Nikal Aaya Hon. Yeh Soch Kar Hazrat Younas Ne Samandar Mein Chalangh Laga Di. Ussi Waqat Aaik Barhi Machli Ne Unhein Niggal Liya. Aur Woh is Machli K Pait Mein Pohanch Gaye.
Hazrat Younas Macgli K Pait Mein Zinda Rahe Aur Allah Se Maafi Maangte Rahe. Hazrat Younas (A.H) Ne Allah Se Faryad Ki. Ya Allah Beshak Aap K Siwa Koi Mabood Nahi. Koi Haami Madadgar Nahi Ya Allah Aap Tu Har Aaib Se Pak Hai Beshak Mein Hi Zulam Kar Baitha. Allah Tala Ne Hazrat Younas Ki Dua Qabool Kar Li. Aur Allah K Hukam Se Machli Ne Hazrat Younas (A.H) Ko Sahil K Qareeb Bahir Ugal Diya. Yeh Aaik Weran Sahil Tha.
Hazrat Younas Nihayat Kamzoor Aur Lagar Ho Chuke Thay. Allah Tala K Hukam Se Aaik Phal Daar Pairh Se in Ko Giza Aur Saya Mil Gaya. Aahista Aahista in K Jisam Mein Taqat Aane Laghi. Allah Tala Ne inhein Wapis Nainwa Jane Ka Hukam Diya. Jab Aap Nainwa Pohanche Tu Wahan K Loogh Aap Ki Pur Asar Talemaat Ki Wajah Se Allah Tala Par iman La Chuke Thay. Jis Par Hazra Younas (A.H) Ne Allah Ka Shukar Aada Kiya Aur inhein Allah K Deen Ki Taleem Denay Laghe.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Post a Comment (0)