STORY IN URDU : HAZRAT ISA (Alaihay Salam)| With Video

HAZRAT ISA ALAIHAY SALAM

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


 
 Quraane Kareem me he ki
“Aur Kitaab me Maryam Ko Yaad karo Jab Apne Ghar Waalo se Purab ki Taraf Ek Jagah Alag ho gayi, To Unse Udhar Ek Parda Kar liya To Uski Taraf Humne Apna Roohani Bheija Wah Uske Saamne Ek Tandurast Aadmi Ke Roop me Jaahir huwa”
(Surah Mariyam, Aayat-16, 17)
Hazarat Maryam ne Tamaam se Alaaiheda(Alag) ho kar Beitul Muqaddas ki Mashriqi(Purab) Jaanib Ko Ikhteyaar kiya, Taaki Ibaadat ke liye Aap Ko Khalwat(Tanhaai) Haasilh ho sake, Isi Wajah se Aap Alayhis Salaam ne Alaaiheda(Alag) Parde Ko bhi Ikhteyaar kiya ki Koi Aap ki Ibaadat me Khalel Andaaz Na ho Sake,
Hazrat Maryam Alayhis Salaam ko Gusl Khana me Jaate hue Ek Shaksh Nazar Aaya, Jo Bada Waji’a, Chamakdaar Aur Khubsurat Uska Rang tha Aur Uske Ghungariyale Baal the, Ye Hazat Jibrail Alayhis Salaam the,
Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Maryam ke Paas Kaamil Insaani Shakl me the, Ya’ani Insaani Awsaaf se koi bhi Aap me Kami Nazar Nahi Aati Thi Balki Kaamil Insaan Nazar Aate the, Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Kaamil Bashar Nazar Aane ke Bawajood bhi Noor the, Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Haqiqat me Noor Aur Jaahir me Bashar the,


 Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ka Khouf Aur Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ka Tasalli deina

Quraane Majeed me he ki
“Boli Mei Tujhse REHMAAN ki Panaah Maangti hu Agar Tujhe KHUDA ka Dar he, Bola Mei Teire RABB ka Bheija huwa hu ki Mei Tujhe Ek Suthra Beita Du”
(Surah Mariyam, Aayat-18, 19)
Ek Ajnabi Insaan ko Deikh kar Hazrat Mariyam Alayhis Salaam par Khouf Taari ho Gaya ki Ma’alum nahi ye Insaan Meire Paas Kahaa se kis Iraade se Aa Gaya..??
Fouran kaha KHUDA ki Panaah Agar Tu Muttaqi Shaksh he, RABB ka Tujhe Koi Khouf he to Door ho Jaa, Meire Parde me Khalel Andaaz Na Ban,
Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne kaha Mei Tumhaare RABB ka Bheija huwa hu,
Ek Riwaayat me he ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne RABB ki Panaah Talab ki to Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Muskura kar kaha Mei Tumhaari Qameez me Foonk Maar kar Tumhe Paakiza Aur Suthra Beita deine ke liye Aaya hu Yani Aysa Beita Ataa karne ke liye Jo Gunaaho ki Aaludgi se Paak wa Saaf hoga Uske Neik Aamal me Roz Baroz Izafa(Badotari) hota rahega Aur Makaame Nabuwwat par Faiz hoga.
(Tafseere Kabeer, Jild-21, Safa-196)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1, Safa-77)
>> Note :-
Haqiqat me Farzand Ataa Farmaane Wala ALLAH TABARAK WA TA’ALA he Lekin Hazrat Jibrail Alayhis Salaam kyuki Us Ataa ka Sabab Aur Zariya he, Is liye Batoure Mijaaz Farzand deine ki Nisbat Apni Taraf kardi, Is se Ma’alum huwa ki ALLAH TA’ALA ki Ne’amato me se Agar Kisi Ne’amat ke Milne ko Uske Zariye Aur Waaste ki Taraf Mansub kiya jaaye Aur Yaqin ho ki Man’ame Haqiqi ALLAH TA’ALA he to Aysi Nisbat Durust(Sahih/Thik) he,
(Tafseere Ziyaa ul Quraan, Jild-3, Safa-73)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-500)

  Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Heirat Aur Badh Gayi :-*

Quraan E Majeed me he ki
“Boli Meire Ladka kaha se hoga Mujhe to Kisi Aadmi ne Haath Na lagaya Na Mei Badkaar hu, Kaha Yunhi hei Teire RABB ne Farmaya Hei ki Ye Mujhe Aasaan hei Aur Is liye ki Hum Use Lougo ke Waaste Nishaani Kare Aur Apni Taraf se Ek Rahmat Aur Yah Kaam Thahar Chuka hei”
(Surah Mariyam, Aayat-20, 21)
Aap Ko Ye Soon kar Itna Zyada Ta’ajub huwa Aur Aap ne Ise Aql se Baeed(Mushkil/Asambhav) Samajhte hue ye kaha Meira Beita Keise hoga…??
Aap Ko Heiraangi ki Wajah se Iski Taraf Tawajjo hi nahi rahi ki Mujhe Ek Farishta Keh Raha he ki Mai Tumhe Ek Suthra Beita Deine ke liye Aaya hu,
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1, Safa-78)
Aap ne yahi Samjha ki Beita to Aadat ke Mutaabiq hi Peida ho Sakta he Ya to Jaiz Nikaah se ya Badkaari se, Aap Ibaadat me Mustagraq(Doobi) hone ki wajah se Is Taraf Tawajjo hi Na kar Saki ki RABB TA’ALA ki Qudrat se to Kuchh Baeed(Mushkil/Asambhav) nahi,
Bageir Baapke Beite Ko Peida karne me ALLAH TA’ALA ki Qudrat Ko Dakhal hoga Uski Qudrat ke Saamne Koi Mushkil Nahi Aur Isko Lougo ke Saamne Nishaani Banaya ja Raha he ki wo ALLAH TA’ALA ki Kaamil Qudrat Ko Samjhe Aur Ye Lougo ki Rehnumaai ke liye RABB ki Azeem Rehmat he Aur RABB ke Ilm e Azzali ke Muta’abiq Use Lohe Mehfuz par Likha ja Chuka he Is Feishle me kisi Qism ki Tabdili Nahi ho Sakti.

PART 1 VIDEO


                      Hazrat Isaa Alayhis Salaam Shikam E Maadar me :-*

Quraane Paak me he ki
“Ab Mariyam ne Use Peit me liya Fir Use liye Hue Ek Door Jagah Chali gayi”
(Surah Mariyam, Aayat-22)
Hazrat Maryam Alayhis Salaam Bani Israail me Neik Zaaheda Mashoor thi Aur Sabko ye Ilm tha ki Aap ki Waalida ne Nazar Maani jo Qabul kar li gayi, Aapki Tarbiyat me Ambiya e Kiraam Alayhis Salaam Silaharish the, wo Kefaalat Hazrat Zakaria Alayhis Salaam ko Haasil hui, Aapke Paas ALLAH TA’ALA ki Taraf se Rizq Aata raha, In Waaqiyaat ke Shohrat ke Peishe Nazar Aapko Bahot Pareshani Laahaq hui ki Mei RABB ki Us Qudrat se Lougo ko keise Mut’maeen karungi..?
Loug Meiri Baat keise Maanenge..?? Isi Wajah se Aapne Beitul Muqaddas ke Hujre ko Chhod kar Alaaiheda(Alag) Door Daraaz Jagah Ikhteyaar kiya taki Waqti Tour par Koi Mutal’a(Aagaah/Jaankaar) Na ho Sake.

PART 2 VIDEO



PART 3 VIDEO

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

NAJEEB AHMAD
Aslamu Alaikum  My Name Is NAJEEB AHMAD from india ,  BIHAR . i am try to my best share with you about islamic Prophet Story For Kids.




Previous Post Next Post